Chat with us on Whatsapp

Har Kaam Mein Kamyabi Ke Liye Wazifa //Wazifa for success in everything//powerful Wazifa//live Wazifa

Wazifa  for  success

Har insaan ye chahta hai ki wo jo bhi kaam ki shuruat kare wo bade safai se apne mukaam tak pahuch jaye. Chahe wo sirf  sabzi kaat kar banana ho, agar sabzi kharab ban jati hai toh dil dukh jata hai, sochiye jab aap bade bade kadam uthate hai toh dil kitna darta hoga.





Lekin jo log Allah (swt) pe yakeen karte hai jante hai ki agar wo sache dil aur neik niyat se us paak zaat se kuch mangenge toh unko zaroor milega, wo apne har kaam mein kamyabi hasil karte hai. Agar aap ko bhi apne har kaam mein kamyabi chahiye toh aap har kaam mein kamyabi ke liye zabardast wazifa parhe. Insha Allah, sare raste apne aap hi bante jayenge aur aap apni manzil pe pahuch jayenge.


Kayi baar aisa hota hai ki aap kisi bhi kaam ko karte hai toh usme rukawatein aane lagti hai aur aapko har kaam mein nuksan ho jata hai, toh aaj se hi aap kaam mein kamyabi ke liye wazifa parhe. Insha Allah, aapki tamam rukawatein apne aap hi khatam ho jayengi aur cheezein khud ba khud thik hone lagengi.


Har Kaam Mein Kamyabi Ka Zabardast Amal niche diya gaya hai:


Shuruat mein aap 3 martaba Durood Shareef parhe.Har Kaam Mein Kamyabi Ke Liye Zabardast Amal

Aap rozana “Ya Allaho Ya Rehmano Ya Raheemo” 1000 martaba parhe.

Phir aakhir mein bhi 3 martaba Durood Shareef parhe.

Aur apne kaam ke liye Allah (Swt) se ro- ro kar dua kare.

Insha Allah, har kaam mein kamyabi ke zabardast amal ki barkat se aapka har jayaz maqsad aur kaam jald se jald poora ho jayega.

Iss amal ko jab tak kare jab tak aapka kaam poora na ho jaye.


Bilkul bhi pareshan na ho. Har kaam mein kamyabi ke zabardast wazifa ko aap poore yakeen aur shiddat se kare aur taweez ko bhi pehne. Beshak Allah (Swt) aapko kamyabi zaroor dega, agar aapki niyat saaf hai toh






Post a Comment

0 Comments