Chat with us on Whatsapp

Buri nazar se bachne ki dua\\wazifa to protect from evil eye\\Dua against bad evil eye\\powerfull dua\\live wazifa

Nazar Se Bachne Ki Dua 

Agar aap kisi ki buri nazar ka shikar ho gaye hain toh bilkul pareshan na ho aur Quran me di hui nazar se bachne ki dua padhe. Ye parkhi aur aazmaai hui nazar ki dua hai jiski madad se buri se buri nazar se aap nijaat paa sakte hain. 

Buri nazar kisi ki bhi hasti khelti zindagi barbaad kar sakti hai, isliye nazar ki dua ke sahare aap isse jaldi se jaldi nijaat paaye. Inshallah ye quranic dua aapki pareshani zarur hal karegi. Agar aapke bachhe ya aapki shadi shuda zindagi me kisi ki buri nazar lag gai hai toh ye duaye apki bahut madad karengi.




Nazar kisi bhi shaks ko kisi bhi waqt lag sakti hai. Chahe aap kisi mehfil mein ho ya phir apne ghar par. Chahe wo aap ho ya phir apka karobar, koi bhi cheez kisi bhi waqt buri nazar ka shikar ho sakti hai. Isliye aapke liye ye afzal hai ki aap Allah Talah ko har waqt apne har kaam mein shamil kare taki aap kisi ki bhi buri nazar ka shikar na ho.

 Nazar ke bare mein toh yaha tak kaha gaya hai ki wo aapki jaan tak le sakti hai. Isliye behad zaroori hai ki aap buri nazar se bachne ki dua mange aur Allah se panah mange.


Boori Nazar, Shaitan ke hamle, har zahrile janwar se aur har nuksan pahunchane wali cheezo se bachne ki dua.


✦ Nazar ki Dua ✦

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞


“A’oodhu Bikalimatillahi-Tammatti Min Kulli Shaytaanin

Wa Hammatin Wamin Kulli ‘Aynin Lammatin.”


Main panaah mangta hun Allah ki purey purey kalamat ke jariye,

har shaitan se aur har zahreele janwar se aur

har nuqsaan pahunchaney waali Nazar-e-Badd se.


📕 Sahih al-Bukhari 3371


✦ Hadees ki Roshni mein


۞ Hadees: Ibne Abbas (R.A.) se Riwayat hai ki, Rasool’Allah (ï·º) Allah se Hussain wa Hasan (R.A.) ke liye Panah talab kiya kartey they aur farmatey they ki “Tumharey Buzurg Dada Ibrahim (Alaihay Salam) bhi Ismaeel aur Ishaq (Alaihi Salam) ke liye Inhi Kalamat ke Jariye Allah ki panaah manga kartey they. ‘A’oodhu Bikalimatillahi-Tammatti Min Kulli Shaytaanin Wa Hammatin Wamin Kulli ‘Aynin Lammatin.’”


 Tarjuma: Main panaah mangta hun Allah ki purey purey kalamat ke jariye, har shaitan se aur har zahreele janwar se aur har nuqsaan pahunchaney waali Nazar-e-Badd se.








Post a Comment

0 Comments