Chat with us on Whatsapp

Ramzan ki Ahmiyat kia hai\\Importance of Ramzan Kareem\\live wazifa

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah ke Naam se Shuru jo nihayat maherbaan aur rahem wala hai.


Tamam tareefe uss Allah Azawazzal ke liye jo tamam zahaano ko banana wala aur usey palney wala hai aur Durood-o-Salaam ho uske aakhri Nabi-e-Kareem (ï·º) par.




• Ramzan ki Ahmiyat kya hai ?

Sabse pehli baat ke “Kisi cheez ki agar hume Ahmiyat na maloom ho tou fir uska fayda bhi hum nahi utha patey hai.” aur dusri baat ke “kisi cheez ke agar Masail maloom na ho tou uska sahi istemaal bhi hum nahi kar patey hai.”


Usi tarha agar hum “Ramzan” ke Fazail nahi jaan sakenge tou uski Ahmiyat nahi jaan sakenge aur uske Masail nahi janenge tou uska sahih fayda bhu hum nahi utha payenge.


Tou wo Mahina jo Humpar aanewala hai uski kya Ahmiyat hai, uske kya fazail hai In sha Allah is unwan me hum aapki khidmat me mukhtasar sa rakhne ki koshish karenge.


Aayiye Nabi-e-Kareem (ï·º) aur Sahaba ke liye Ramzan kaise hua karte they wo jaan letey hai, wohi asal mayar(criteria) hai humare liye.


✲ Nabi-e-Kareem (ï·º) aur Sahaba ke liye Ramzan ki Ahmiyat kya thi ?

Aahadees me aata hai ke “Jo hi Ramzan ka Mahina qareeb aata tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) kamarbasta ho jatey” [Sahih Bukhari , Vol 3, 2024]


Yaani tayyar ho jatey, Sadqe aur khairaat ke liye, Rozo ke liye, Qiamullail ke liye, Zikr-O-Azkar ke liye, Tilawatey Quraan me Ijaafe ke liye tayyar ho jatey.


Har kism ki Ibadati tayyari Aap (ï·º) ki aur Sahaba ki hoti thi. Jab Ramzan aa raha hai tou unki Zehno me ibadatey ghum rahi hai ke kaise Mere Roze mukammil ho khusu aur khuju ke saath, koi kami na aaye mere Rozon me.


Isi tayyariyo me Sahaba lag gaye, Nabi-e-Karam (ï·º) lag gaye, Ummaha-Tul-Mominin lag gaye, Sahabiyat lag gayi. pura mu’ashra isi tayyari me laga ke Ramzan me kaisi ibadate ho, kaise mai jyada se jyada ibadatey karu. Ye thi unki tayyari.





Post a Comment

0 Comments