Chat with us on Whatsapp

Ashure ka Roza//Aashura ke Roze ki Fazilat//Yahudi Ashure ka Roza kyu Rakhte they//live wazifa//Azimushan malik

 Ashure ka Roza

۞ Hadees: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ki,

Jab Allah ke Rasool (ﷺ) ne Ashure ke Din

10 Muharram ka Roza rakha aur Hukm (Order) kiya is Rozey ka,

tou logo ne Arz kiya, Ya RasoolAllah(ﷺ) ! ye din to aisa hai ki

iski Taazim Yahud aur Nasara karte hain.


Tou Aap (ﷺ) ne farmaya ki Jab Agla Saal aayega to

In’ sha’ Allah Hum 9 ka Roza Rakhege,


Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap (ﷺ) is dunia se Rukhsat kar gaye.

(isliye hum Musalman 9 aur 10 dono ka Roza rakhte hain).


📕 Sahih Muslim, Vol 3, 2666



Aashura ke Roze ki Fazilat:

۞ Hadees: Abu Qatada al-Ansari (R.A.) se riwayat hai ki,


RasoolAllah (ﷺ) se Ashura (10 Muharram) ke din ke Rozey ke bare mein pucha tou

Aap (ﷺ) ne farmaya –


‘Ye Guzrey huye Saal ke Gunahon ka kaffara hai.’


📕 Sahih Muslim, Vol 3, 2747


Yahudi Ashure ka Roza kyu Rakhte they ?

10th Muharram ko Allah Ta’ala ne Hazrath Musa (Alaihi Salam) ki Ummat ko Firoun ki Qaid se Azad karwaya aur Firoun ko Paani me Garkh Kar diya tha.


Lihaja is ke Shukrane ke taur par Musaa (Alaihi salam) ki Ummat ye Ashoora ka Roza rakhti thi, aur Ummat-e-Mohammadiya ko 9 aur 10 ya phir 10 aur 11 ka Roza Rakhna hai.

Ta’ake Yahud aur Nasara se Musabahat na ho aur unki mukhalifat ho.


Ulema Unki Mukhalifat ke talluk se kehte hai ke unki Mukhalifat ka hukm isiliye kyunki wo Qoum bhi Aizaz paane ke baad Allah aur uske Nabiyo ke Hukm ki mukhalifat karne lag gaye they. lihaja unki mukhalifat me hume ek ke bajaye 2 roze rakhne ka hukm mila.



NOTE: 9 aur 10 ya phir 10 aur 11 ka Roza Rakh sakte hai.


Allah Ta’ala hume kehney sunney sey ziyada amal ki toufeeq aata farmaye. Ameen



If you want to talk our team or order any thing you can call on this number.


Contact no. +919528531416

                                8077261662


Thanks live wazifa team






Post a Comment

0 Comments