Yah Mahina sal ke Tamam mahinon Ka Sardar Hi. Hades Min Hai Ki Abu Saeed Qadri ( Razi Allah anhu)Nabi Karim Sallallahu alehi vasllam ka yah Irshad nakal farmate Hain Ki Ramzan ul Mubarak Tamam mahinon Ka Sardar hai aur hurmat ke etbar Se jil hijja sabse Jyada ajmat wala hai
Ramzan ul Mubarak sabse Behtar aur Afzal Mahina hai
Ek revayat mein Nabi Karim (Sallallahu alehi vasllam) ka Irshad hai ki musalmanon per koi aisa Mahina Nahin Gujra Jo Ramzan se behtar ho aur munafikin per koi aisa Mahina Nahin Gujra Jo Ramzan Se Jyada bura ho
Ramzan ki Ahmiyat kya hai ?
Sabse pehli baat ke “Kisi cheez ki agar hume Ahmiyat na maloom ho tou fir uska fayda bhi hum nahi utha patey hai.” aur dusri baat ke “kisi cheez ke agar Masail maloom na ho tou uska sahi istemaal bhi hum nahi kar patey hai.”
Tou wo Mahina jo Humpar aanewala hai uski kya Ahmiyat hai, uske kya fazail hai In sha Allah is unwan me hum aapki khidmat me mukhtasar sa rakhne ki koshish karenge.
Nabi-e-Kareem (ï·º) aur Sahaba ke liye Ramzan ki Ahmiyat kya thi ?
Aahadees me aata hai ke
“Jo hi Ramzan ka Mahina qareeb aata tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) kamarbasta ho jatey”
Sahih Bukhari , Vol 3, 2024
Yaani tayyar ho jatey, Sadqe aur khairaat ke liye, Rozo ke liye, Qiamullail ke liye, Zikr-O-Azkar ke liye, Tilawatey Quraan me Ijaafe ke liye tayyar ho jatey.
Har kism ki Ibadati tayyari Aap (ï·º) ki aur Sahaba ki hoti thi. Jab Ramzan aa raha hai tou unki Zehno me ibadatey ghum rahi hai ke kaise Mere Roze mukammil ho khusu aur khuju ke saath, koi kami na aaye mere Rozon me.
Isi tayyariyo me Sahaba lag gaye, Nabi-e-Karam (ï·º) lag gaye, Ummaha-Tul-Mominin lag gaye, Sahabiyat lag gayi. pura mu’ashra isi tayyari me laga ke Ramzan me kaisi ibadate ho, kaise mai jyada se jyada ibadatey karu. Ye thi unki tayyari.
Ramzan me padhi jane wali Dua
Is Dua ke fayde
Koi karjdar Hai Kisi ke paiso mein Barkat Nahin Hai Karz Ke Tale Dab chuka hai aur bahut jyada Pareshan Ho chuke hain Johar ki Namaz Ke awal akhir tak 3-3 bar durud pak ke sath 11 martba is Kalma a mubarak ho padhe Inshallah use Gani kar dega aur ismein bahut jyada khairo Barkat hai
Agar koi shaks bahut jyada bimar hai or Koi Dava Asar nahin kar rahi hai aur kuchh Maloom hi nahin ho raha hai kya Bimari hai fir bhi bewajah bimar hai uske liye aap awal Aakhir durud sharif k sath 11 martba is kalme Mubarak ko padhen aur shehad Le use per teen martba Dam Karke use mariz ko khilae Inshallah use Bimari se aapko Shifa mil jaegyi
Koi bhi shakhs Isha ki Namaz Ke Baad ya FIR Taravi ke bad ya tahajjud ki Namaz Ke bad Ramzan ul Mubarak ke mahine mein is teesre kalme ki ek tasbi avalo Aakhir Tak 3-3 martba durud e pak ke sath padhen Inshallah Woh shakhs Kabhi zindagi Mein mohtaj Nahin hoga aur Itni khairo Barkat hoti Rahegi
Sal Bhar tak Uske rizak Mein Uske Karobar mein aur uske Har Ek chij mein Inshallah khairon Barkat Agar yah Amal aap Isha ki namaj ke bad ya taravi ke bad yah tahajjud ke bad padhenge aur apni pareshaniyon se nijaat pale Barkat Ke Liye Dua Karega hajaron Farishte uski madad ke liye bhej diye Jaate Hain Is dua ki bahut badi khairon Barkat hai.
Jazakallah khair
If you want to talk our team or order any thing you can call on this number.
0 Comments